Quaid e Azam Muhammad Ali Jinnah (R.A) ne aik dfa fermaya tha k " Bar'r-e-Sagheer main Pakistan ki Bunyaad us waqt pr gai thi jbh pehla hindu Musalman hua tha" Go k yeh safar bohat lamba hai lekin 23 March 1940 yeh woh Azeem din hai Jbh us safar ki manzil ka taiy'yun kiya gya aur musalmnaan-e-Hind ne apna nasb-ul-ain tay kiya tha , yeh woh din hai jbh Do Qoumi Nazariye ki Bunyaad pr Qraardaad-e-Pakistan kay manzoor hone kay bad sbh Musalmanan-e-Hind ki zindgi ka wahed maqsad "le kay rahen ge Pakistan , Ban kay rahe ga Pakistan" ban gya tha , "Aik hi jazba Musalmaon ka Alag Watan Aik hi Ishq Pakistan" tha.. Aur 7 saal kay qaleel arse main Un Suche Ashiqon ne duniya kay naqshe par sbh se mazboot aur azeem Mumlakat ko Qaim kr k Duniya main lazwaal misal Qaim ki , aur aisi misalon ko tarikh kay awraq pr raqam kiya Jo duniya k lie Misaal hain aur hmare lie na sirf bais e fakhar hain.. 23 March wohi din hai jis din PAKISTAN ka Qyaam her dil ki taman'na aur her zindgi ka maqsad bna , Taman'na thi aik aise mulk ki jaga khush-hali aur aman ho ga jahan Islami nizam e zindgy Riaj ho ga ...
قائد اعظم کا تصور پاکستان
Quaid e Azam ka tasawur e pakistan kya tha?
Tariq ismail sagar
Manzar nama
23 march 2011
Pakistan day, 14 august, sayings of Quaid e azam about pakistan.
Quaid i azam's vision for pakistan
0 comments:
Post a Comment